dekha hai pehli baar
	her larki ki aankhon main pyar
	ab jaa kay aaya mujhe
	nazar 'steroid' ka kamaal
	
	Mere baap ki - umar ho - itni sanam
	Teri maa say shuru, teri maa pay khatam
	
	soldier soldier, pressure cooker khol ker
	sabzi meri uraa lay gaya
	
	kabhi botal lay aayain
	kabhi daroo bhi layain
	koi dekh lay na hamain yahan
	chalo basement main jayain hum
	chalo daaroo pilayain, chalo daaroo pilayain
	chalo daaroo pilayain sanam
	
	jadoo hai, teri maa ka jadoo
	jo mere baap pay chaanay laga
	diwani meri yeh to bata kya kiya teri maa nay
	mera baap to suthhiya nay laga
	
	yeh mera hai phatak
	yeh mera hai bangla
	di kis nay dastak
	dekho kaun aaya
	aray yeh to 
	ramoo doodh wala aaya
	saalay nay phir kya aaaaaaaj
	paani milaya. daiya. paani milaya
	
	Soldier Soldier.....pressure cooker khol kar
	Sabzi meri uraa le gaya
	
	Kuch Kuch Hota Hai,
	Exam paas aaye, sir mera dukhaye
	Teacher ne na jaaane kyun, dande dikhaye,
	Ab to mera sir, jaage na sota hai,
	Kya karoon haye, kuch kuch hota hai....
	
	Rafta Rafta dekho aankh meri lari hai
	Aaankh jis se lari hai woh meri maa se bhi bari hai
	
	Mard taange waala
	Hoon main mard taaange wala
	Mujhe teacher kya marega
	Main to hoon principal ka saaala
	
	Do choar, churaa rahay thay
	magar, chupkay chupkay
	kaisi thi unhain beqarari
	dil main thi umangay jagay
	sab kuch nazar aa raha tha
	kahan pay hain rokray chupay
	kya hai koi bhi, nahi ho agar
	ghar main thi, khamoshi magar
	Do choar, churaa rahay thay
	magar, chupkay chupkay
	
	tum bin piya jaye kaise
	kaise piya jaye tum bin
	dahi bina kya lassi
	lassi kya dahi bin
	lay aao, chotoo jaa kay
	yeh dil keh raha hai
	
	phansana bhi nahi aata
	manana bhi nahi aata
	bari kathin yeh mohabbat hai
	pataana bhi nahi aata
	
	aatay jaatay, girtay sambhaltay
	na jaanay mujhe hai kis saharay ka intezaar
	woh ghumta hua sir, thaka hua sa asar
	kerta hai jeewan ko kitna khwaar
	yehi sach hai, shayad, maine bhaang piya
	haan haan, maine, phir bhaang piya
	
	what is your cc number
	what is your dc number
	karna hai kangaal tere baap ko
	what is his checking acct. number
	
	baaziger o baaziger
	dil walon ka tu dilbar
	mera dil tha akela
	tujh pay haath aisa phera
	teri jaib kaati saal saal bhar